{Bete bhi ghar chhod jate hai}
Jo takiye ke bina sone se katrate the aakar dekhiye wo
Kahi bhi so jate hai khane me 100 nakhare karne wale ab
kuch bhi kha lete hai Aapne room me kisi ko nahi Aane dene
Wale ab ek hi bistar pr sb ke sath adjust kr ke so jate hai bhaishahab
Ladke bhi ghar chhod jate hai ghar ko miss karte hai lekin kahte hai
Bulkul thik hu 100-100 khwahish rakhne wale ab bahut hai
Kuchh nahi chahiye paise kamane ke jarurat me wo ghar se
Ajanbi ho jate hai ladke bhi ghar chhod jate hai bana banaya khane
Wale ab wo khana khud banate hai maa bahan bibi ka banaya ab kaha
Kha pate kabhi thake hare hote hai to waise hi so jat hai kyu ki
Bete bhi ghar chhod jate hai mohhalle ki galiya jane pahchane raste
Jaha dauda karte the apno ke waste maa baap ka pyaar yrrrr
Dost sb pichhe chhut jate hai tanhai me karke yaad ladke bhi
Aansoo bahate hai kyu ki Bete bhi ghar chhod jate hi nai nabeli
Dulhan jaan se pyare bhai bahan chhote chhote bachche chacha-chachi
Sb kuch chhuda deti hai shahab ye roti or kamai.mat puchho uska
Dard wo kaise chhupate hai................
Kyu ki bete bhi ghar chhod jate hai.......Gumnaam shayar by (sanju)
No comments:
Post a Comment